Hare Krishna Gurumaharaj please accept my respectful pranam on your lotus feet guru maharaj
happy Krisna conscious appearance day my dear guru maharaj
mai aapki spritiual daughter aapke aavirbhav divas Pr apne samast parivar ki taraf se aapko Shubkamnaye deti hu. Guru maharaj aapki asem kripa ke liye sader abhar. Aap ki glorification mai krne me asamarth hu Pr fir bhi aapki kripa se koshish kar rahi hu. Chaitanya charita mrit me likha hai ki is bhautik jagat me jo bhi janam le rahe hain sabhi shudra hain bus guru ki kripa se hi koi brahman ban sakta hai. Mai apne kuch realization aapke sath share krna chahti hu guru maharaj abhi thode samay phle hi ghar me maintainace ke liye kuch log aaye wo bole ki aap log brahman ho kya Maine pucha aap aise Kyu puch rahe ho to bole ki aap ke ghar me kabhi Maine onion garlic nahi dekha .ek din hum kisi ke ghar Gaye to bole ki ye to pata hai ki aap log ab vegetarian ho Pr onion garlic nahi khatey ye bahut difficult hai baad me Maine bahut socha phle mujhe Aisa legta tha ki mai apne merzi se ye sab kuch aasani se chod rahe hu or chanting kr rahi hu Pr jab kafi sare school friends or family members bolne lage ki hum sab ye nahi kr saktey bahut mushkil hai tab Ja kr mujhe realize hua ki ye sab Maine nahi kiya ye aapki kripa se hi hua hai. Aapki kripa to ek dum ek baad ke pani ki tarah hai ki sab ko baha le jaye parantu guru maharaj mai isko digest hi nahi kr pa rahi. Mai roz aapse apne man ki baat share krti hu. Guru maharaj Maine kafi sare lectures me suna hai ki jab hum mahamantra ka jap krty hain to hamara man saf ho Jata hai Pr mai Sach bolu to mera man ab Pather se bhi zyada sakth ho gya hai chaitanya mahaprabhu ne jab patharo ko chua tha to wo pighal Gaye the phir mera man kyu nahi pighal raha guru maharaj. Mai koshish karti hu ki apne aapko bekar ki bato se door hi rekhu per fir bhi mai apne shadik indriya tripti ke liye Jan bhuj kr hi apradh krti hu mai kitni bhi koshish kr lu Pr mai apne gusse me kabu nahi kr pa rahi gusse me bachoo Ko bhi galt bol deti hu Pr baad me mai unko sorry bol deti hu Pr aise baar baar sorry bol kr bhi kya fayda. Guru maharaj abhi aapki kripa se mai children class or Bhakti vriksha ki classes le rahi hu. Mai daily koshis krti hu ki prabhupada ki books read karu Pr kabhi kabhi nahi kr pati. Guru maharaj Bhakti vriksha ki class ke liye mai full week shloka daily read krti hu lecture sunti hu tab ja kr thoda bht mai preach kr pati hu class lene se phle mera gala sukh Jata hai mai bus aapse prathna krti hu ki aap sambhal le. Bhakti vriksha or children class ke sabhi members ko aap kripa kr ke aashirwad de. Abhi Riddhi ( meri Beti) ne bhi daily chanting shuru kr di hai wo bhagwat gita ke shloka or nersing kavach bhi daily padti hai. Sath me sab Sandhya aarti krty hain. Guru maharaj jab aap last year april 2020 me home visit pr aaye they to Maine aapke liye ek poster Pr likha tha welcome to our house mai uske kiya aapke Shama yach a krti hu jab sab kuch aapka or bhagwan ka hai to ye ghar mera Kaise ho sakta hai aapne tab pucha tha ki kya bachee chanting krty hain tab to nahi krtey they Pr ab aapki hi kripa se chanting shuru ki hai. Prabhu bhi krty hain. Guru maharaj abhi to hum log phle ki tarah TV movie nahi dekhtey Pr phir bhi bachoo ke sath mai kabhi kabhi dekti hu. Pr mai Itni mand buddhi hu ki roz bhagwatam Bhagwat gita padne ke baad bhi mujhe shloka yaad nahi hotey Pr jo gane 20-30 sal phle sune the wo gane movie ka naam star cast bilkul yaad rehtey hain jo yaad rekhna chahiye wo yaad nahi rekti or jo nahi rekhna chahiye wo yaad rehta hai. Guru maharaj mai aapse dono hath jod kr prathna krti hu ki please mere parivar ki raksha krna mai aapke or bhagwan ke siwa kisi se kuch mang nahi sakti or aapke or bhagwan ke siwa mujhe koi kuch de bhi nahi sakta. Aapki spritiual daughter
shashi mukhi keshvi devi