Vyas Pooja ReportGuru Maharaj ke 71st Aavirbhav Ideas Par.Namo om Vishnu Paday Krishna Preshthay BHu Tale ,Shrimate Jaipataka Swamin it namine Namo Aacharya Paday Nitai kripa pradayine,Gaur Katha Dhaam daya Nagar Gram Tarine.Guru Maharaj ke Charan kamalon me shat-shat pranam.Mandir Ka vigrah Jaise sadharan Shila nahin hits,vaise hi Guru sadharan manushya Nahin hits.ye BAAT shat-pratishat Sahi hai.Hamare Guru Maharaj nishchay hi asadharan hain.koi sadharan vyakti Irani chunautiyon Ka samana nahin kar paata.Lord Krishna ki kripa,Chaitanya Mahaprabhu tatha Prabhu pad Ka aashirwad sdaiv unke Saath rahe!Shri Krishna ki Leela Adbhut hai.Dur desh Ka ek medhawi aur tejaswi baalak liaise apani aadhyatmic aur jigyasa ke chapter,khojta hua aakhir Bharat bhumi Jo ki devataon ki bhumi hai,adhyatm ki dharti hai,tak aa pahuncha.Kya surf apane Salvation ke liye ? Nahin , varan hazaron baddh-jiwatmaon ke liye..Guru Maharaj apane bhakton ke liye Chaitanya Maha Prabhu ki kripa ka Sagar Hain.Unka hridaya prani maatra ke liye karuna se Bhara hai.Guru maharaj sabko mukt wa sukhi dekhana chahte hain.Unka dridh nishchay,Komal Hriday,Samarpan ki poornta aur sewa-bhaav atulniya hai.chunotipurn Jeevan aur Nobel kaaryon se we sabke liye prerana-srot hain.Guru Maharaj manavta ki selfless service Kar rahe hain,Krishna ke liye.Nityanand Prabhu aurGaurango ke Sankirtan Aandolan se Adhikadhik logon ko jod kar.Anekon sharnagaton,50,000 se Bhi jyada, ke paapon ko swayam par le kar,unke Jeevan ki aalokit Kar rahe hain. Bhawan Krishna Chaitanya Maha Prabhu se prarthana hai ki unki jeevani -shakti ko aksshunn rakhen. TaakiMayapur Dhaam ka apana tatha apane poorv-aacharyon Ka sapana wah poora Kar saken.Aur anya anekanek logon ka Jeevan aadhyatmikata ke Prakash se jagmaga sakein.Guru Maharaj ke Krishna-kripamay sudirgh,swasth aur sunder Jeevan ki kaamna karati Hun.Sanyas ke50 years wastav mein Krishna -sewa mein Samarpan ke years hain.Guru Maharaj sachhe vaishnav aur Saadhu Hain.Guru Maharaj ki jai !Long Live Guru Maharaj !!! Dasanudasi . Ratnangi Yashoda Devidasi . Deekshit--10-12-1917,at East Of Kailash Mandir,New Delhi. Shksha Guru. Ram Keshav Prabhu. Sahibabad,Ghaziabad.U.P. NCR,India.